Nov 13, 2005

anonymuncule

ek shyam zindagi ke

dubo jane vali barsat,
garajte chamkte badal hazar,
halki barish ke phuar,
kahi urdte badal char,
saf kula nila asman,
uspe chamakti kirne beshumar,
dhimi hawa lati kushboo unjaan,
dhondne use badhte kadam char,
ujagar hota phuloo ka rang tamam,
khamoshi ko jagati panchiyo ke awaz,
dhime dhime pattiya gungunati koi raag,
dhalte suraj ki aakh micholi sab ke saath,
phir sitaro bhare aachal me sab samoti raat.

ye zindigi ki ek shyam aur sang hota tumara saath.

2 comments:

Soumya said...

nice simple words...

Kaunquest said...

Nice one.
Aur ho subah aisi...

http://kaunquest.blogspot.com/2005/11/subah-ka-suuraj.html